Kya baat kahoon un aankhon ki
Jin aankhon pay main marta hoon;
Woh aankhain jheel si aankhain hain
Jin main doob kay roz ubharta hoon;
Mujhay dekhnay kay liye uth'ti hain
Miltay he nazar woh jhukti hay;
Saaray jahan main aisi aankhain nahi
Jin aakhon pay main marta hoon;
In aankhon main aansoo na aaye koi
Kabhi bhi ghum na paas aaye koi;
Sada muskurati rahain yeh
Her dum yeh dua main karta hoon;
Kya baat kahoon un aankhon ki
Jin aankhon pay main marta hoon !!!
Sunday, 13 July 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment